Īsā ibn Maryam (as)
Jesus Christ - Man Messiah Prophet
Massager of Allah 
Son of Mary (as)



Isa a.s (jesus christ)
By- Aariz_Aziz


jab farishton ney maryam say kaha tha kay :  aey maryam ! Allah taalaa tumhen apney ek kalmay  ki khushkhabri deta hai jiss ka naam maseeh isha ibn maryam hoga ,   jo duniya aur aakhirat dono mein sahab wajahat hoga , aur ( Allah kay ) muqarrab bandon mein say hoga.  
Quran 3:45
__________________
maryam ney kaha :
perwerdigar ! mujh say larka kaisay peda hojaye ga jabkay mujhay kissi bashar (man) ney chooa tak nahi-?  
Allah ney farmaya :  
Allah issi tarah jiss ko chahta hai peda kerta hai . jab woh koi kaam kernay ka faisla kerleta hai to sirf itna kehta hai kay   hoja "bus woh hojata hai"
Qur'an 3:47
___________________
kyonki yahova ka vachan seedha hai aur uska sab kam sachchai se hota hai.  vah dharma aur nyay se yakeen rakhta hai yahova ki kroona se duniya bhrapoor hai.. akashmandal yahova ke vachan se, aur usake sare gun uske muh hi shvas se bane.
bible, Psalms 33:4-6
___________________
woh (Allah) to aasmano aur zameen ka mojid hai uss ka koi beta kahan hosakta hai , jabkay uss ki koi biwi nahi-? 
ussi ney her cheez peda ki hai , aur woh har har cheez ka poora poora ilm rakhta hai . 
Qur'an 6:101
____________________
humaray perwerdigar ki bahut oonchi shaan hai , uss ney naa koi biwi rakhi hai , aur naa koi beta . 
Qur'an 73:3
____________________
aur unn  logon ney yeh baat banai hai kay Allah ka khud uss kay bandon mein say koi juzz hai.  haqeeqat yeh hai kay insan khullam khula nashukra hai.
Qur'an 43:15
____________________
unhon ney Allah ki bajaye apney ahbaar ( yahudi scholars ) aur rahibon ( Christian scholars ) ko khuda bana liya hai ,   aur maseeh ibn maryam ko bhi , halankay unn ko ek khuda kay siwa kissi ki ibadat kernay ka hukum nahi diya gaya tha . uss kay siwa koi khuda nahi . woh unn ki mushrikana baaton say bilkul pak hai .
Qur'an 9:30
____________________
aur tu firon se kehna, ki yahova yon kahata hai, ki israel mera putra varan mera jetta (firstborn) hai,
Exodus 4:22, Torah
____________________
kyonki main israel ka pita hu,  aur Ephraim mera jetta (firstborn) hai.
Jeremiah 31:9, Torah
____________________
( kuch ) logon  ney keh diya kay Allah aulad rakhta hai. pak hai uss ki zaat ! woh her cheez say bey niaz hai .   aasmano aur zameen mein jo kuch hai , ussi ka hai . tumharay paas uss baat ki zara bhi koi daleel nahi hai . kiya tum Allah kay zimmay woh baat lagatay ho jiss ka tumhen koi ilm nahi-? . 
keh do kay :  jo log Allah per jhoota bohtan baandhtay hain , woh falah nahi payen gay . 
Qur'an 10:68 - 69,
____________________
kyonki unhon ne parameshvar ki sachchai ko badalakar jhoot bana dala, 
Romans 1:25, Gospel
____________________
yaad rakho ! yeh apni mann gharrat baat ki wajeh say kehtay hain.  kay Allah kay koi aulad hai , aur yeh log yaqeeni toor per jhootay hain
Qur'an 37:151 - 152,
____________________
kyonki parameshvar ne jagat se aisa prem rakha ki usne apna only begotten son de diya,
John 3:16, Gospel
____________________
jiska yeh vishvash hai ki yeeshu hi maseeh hai, vah parameshvar se utpann hua hai aur jo koi utpann karane wale se prem rakhta hai, vah us se bhi prem rakhta hai, jo us se utpann hua hai.
1 John 5:1, Gospel
____________________
naa Allah ki koi aulad hai , aur naa Allah kissi ki aulad hai .  
Qur'an 112:3
____________________
mujhse pehle koi ishvar naa hua aur naa mere bad koi hoga.
Isaiah 43:10, Torah
____________________
wohi pehla bhi hai , aur aakhir bhi , zahir bhi , aur chupa huwa bhi ,   aur woh her cheez ko poori tarah janney wala hai .
Qur'an 57:3
____________________
main sab se pehla hu, aur main hi ant tak rahoonga mujhe chhod koi parameshvar hai hi nahi.
Isaiah 43:10, Torah
____________________
parameshvar vah jo hai, aur jo tha, aur jo anevala hai jo sarvashaktiman hai: yah kehata hai, ki main hee alfaa aur omiga hoon.
Revelation 1:8, Gospel
____________________
jo sab se pehla, aur ant ke samay rahoonga main vaheen hoon
Isaiah 41:4, Torah
____________________
main hi ishvar hoon aur bhavishya mein bhi main hi hoon mere hath se koi chhuda naa sakega jab main kam karna chahoon tab kon mujhe rok sakega. ?
Isaiah 43:13, Torah
____________________
apne nimit, han apne hi nimit maine yah kiya hai, mera nam kyon apavitra therey ? apni maahima main doosare ko nahi doonga.
Aey yakoob, aey mere bulaae huee israel, meri or kaan lagakar sun! main vahi hu, main hi aadi aur main hi ant hoon.
Isaiah 48:11 - 12, Torah
____________________
is karan ki parameshvar ko jaananey par bhi unhone ne parameshvar ke yogy badai aur dhanyavaad na kiya, prantu vyarth bichar karne lage, yahan tak ki un ka nirbuaddh iman andhora ho gaya.  ve apne ap ko buaddhmaan jatakar moorkh ban gaye.
Romans 1:21 - 22, Gospel
____________________
kyonki unhone ne parameshvar ki sachchai ko badalakar jhoot bana dala, aur duniya ki upasana aur seva ki, naa ki us srajanahar ki jo sada dhanya hai. ameen
Romans 1:25, Gospel
____________________
yaad rakho ! yeh apni mann gharrat baat ki wajeh say kehtay hain.  kay Allah kay koi aulad hai , aur yeh log yaqeeni toor per jhootay hain .  
Qur'an 37:151 - 152
____________________
aur ( aey payghumber ! ) tum say pehlay hum ney jab bhi koi Rasool ya nabi bheja to uss kay sath yeh waqia zaroor huwa kay jab uss ney ( Allah ka kalam ) parha to setan ney uss kay parhney kay sath hi ( kuffaar kay dilon mein ) koi rukawat daal di , phir jo rukawat setan daalta hai , Allah ussay door ker deta hai , phir apni aayaton ko ziyada mazboot ker deta hai ,   aur Allah baray ilm ka , bari hikmat ka malik hai . yeh. takay jo rukawat setan ney daali thi , Allah ussay unn logon  kay liye fitna bana dey jinn kay dilon mein rog hai , aur jinn kay dil sakht hain . aur yaqeen jano kay yeh zalim log mukhalifat mein bahut door chalay gaye hain . 
Qur'an 37:151 - 152
____________________
aur us ne mujhse kaha, ki tera putra suleman hi mere bhvan aur anganon ko banaaega, kyonki main ne usko chun liya hai ki mera putra theray, aur main usaka pita theroonga.
1 Chronicles 28:6, Torah
____________________
vah mujhe pukarake kahega, ki too mera pita hai, mera ishvar aur mere bachane ki chattan hai.  fir main usko apna paahilautta (firstborn), aur duniya ke rajaon par pradhaan theraunga.
Psalms 89:26 - 27, Torah
____________________
vah turant aradhanalayon men yeshu ka prachar karne laga, ki vah parameshvar ka putra hai
Acts 9:20, Gospel
____________________
iss baat ka koi ilmi saboot naa khud unn kay paas hai , naa unn kay baap dadon kay paas tha . bari sangeen baat hai jo unn kay mun say nikal rahi hai . jo kuch woh keh rahey hain , woh jhoot kay siwa kuch nahi . 
Qur'an 18:5
____________________
yahood o Christian kehtay hain kay  hum Allah kay betay aur uss kay chaheetay hain  ( unn say ) kaho kay phir Allah tumharay gunahon ki wajeh say tumhen saza kyon deta hai-?   nahi ! balkay tum unhi insanon ki tarah insan ho jo uss ney peda kiye hain . woh jiss ko chahta hai bakhsh deta hai aur jiss ko chahta hai azab deta hai . aasmano aur zameen per aur unn kay darmiyan jo kuch mojood hai uss per tanha milkiyat Allah hi ki hai , aur ussi ki taraf ( sabb ko ) lout ker jana hai .  
Qur'an 5:18
____________________
aey ehal kitab ! apney deen mein hadd say naa barho , aur Allah kay baaray mein haq kay siwa koi baat naa kaho . maseeh ishA ibn maryam to mehaz Allah kay Rasool thay , aur Allah ka ek kalma tha jo uss ney maryam tak pahunchaya , aur ek rooh thi jo ussi ki taraf say ( peda huee ) thi .   lehaza Allah aur uss kay Rasoolon per emaan lao , aur yeh mat kaho kay ( khuda ) teen hain . iss baat say baaz aajao , kay issi mein tumhari behtari hai . Allah tu ek hi mabood hai woh iss baat say bilkul pak hai kay uss ka koi beta ho . aasmano aur zameen mein jo kuch hai ussi ka hai , aur sab ki dekh bhaal kay liye Allah kafi hai
Qur'an 4:171
____________________
Jesus kaaisariya filippee ke desh men akar apne chelon se puchhne laga, ki log manushya ke putra ko kya kahate haain?
Matthew 16:13, Gospel
____________________
unhon ne uttr diya, ki yoohanna bapatisma denevala par koi koi ealiyyaha aur koi koi bhavishyadvktaon (prophets) men se ek bhi kahte hain.
Mark 8:28, Gospel
____________________
us ne un se puchha parantu tum mujhe kya kahte ho? pataras ne us ko uttr diya tu Messiah hai.
Mark 8:29, Gospel
____________________
us ne un se puchha, parantu tum mujhe kya kahate ho? pataras ne uttr diya, parameshvar ka Messiah
Luke 9:20, Gospel
____________________
tab us ne chelon ko chitaya, ki kissi se na kahna! ki main maseeh hoon
Matthew 16:20, Gospel
____________________
aey ehal kitab ! Allah ki aayaton ka kiyon inkar kertay ho halankay tum khud ( unn kay min-janib Allah honey kay ) gawah ho ?   
aey ehal kitab ! tum haq ko batil kay sath kyon mila dete ho aur kiyon jaan bujh ker haq baat ko chupatay ho-? 
Qur'an 3:70 - 71
____________________
shamaun pataras ne uttr diya, ki tu zinda parameshvar ka putra maseeh hai
Jesus ne us ko uttr diya, ki aey shamaun yona ke putra, tu dhany hai kyonki mans aur lahu ne nahi, parantu mere pita ne jo jannat mein hai, yah bat tujh par pragatt kee haai.
Matthew 16:16-17, Gospel
____________________
us ne un se puchha parantu tum mujhe kya kahate ho? pataras ne us ko uttr diya tu maseeh hai. tab us ne unhen chitakar kaha, ki mere vishay men yah kissi se naa kahna.
Mark 8:29 - 30, Gospel
____________________
jo log humari aayaton kay baaray mein tairrah raasta ikhtiyar kertay hain ,   woh hum say chup nahi saktay . bhala batao kay jiss shaks ko aag mein daal diya jaye , woh behtar hai , ya woh shaks jo qayamat kay din bey khof o khatar aaye ga ? ( achanak ) jo chahao , kerlo , yaqeen jano kay woh tumharay her kaam ko khoob dekh raha hai . 
Qur'an 41:40
____________________
lehaza tabahi hai unn logon  ki jo apney haathon say kitab likhtay hain , phir ( logon  say ) kehtay hain kay yeh Allah ki taraf say hai , takay uss kay zariye thori si aamdani kama len .   pus tabahi hai unn logon per iss tehreer ki wajeh say bhi jo unn kay haathon ney likhi , aur tabahi hai unn per uss aamdani ki wajeh say bhi jo woh kamatay hain . 
Qur'an 2:79
____________________
yaadi tu maseeh hai, to hum se kah de! us ne un se kaha, yaadi maain tum se kahu to yakeen nahi karoge.  aur yaadi pucchhu, to uttr nahi doge.
Luke 22:67 - 68, Gospel
____________________
aur peelatus ne us se puchha, kya too yahudiyon ka raja hai? us ne us ko uttr diya ki tum khud hi kah rahey ho
Mark 15:2, Gospel
____________________
peelatus ne us se kaha, ki too kehta hai, kyonki main raja hoon main ne isliye janam liya, aur isliye jagat mein aya hu ki Satya par gavahi du jo koi Satya ka hai, vah mera shabd sunata hai.
John 18:37, Gospel
____________________
unhon ne us se kaha, tu kaun hai? Jesus ne un se kaha, wahi hu jo suru se tum se kahta aya hu.
John 8:25, Gospel
____________________
aur jis reeti se moosa ne jangal mein sanp ko unche par chaddhaya, ussi reeti se avashy hai ki manushy ka putra bhi unche par chaddhaya jaae.  taaki jo koi vishvas kare us men anant jeevan paye.
John 3:14 - 15, Gospel
____________________
isliye maine tum se kaha, ki tum apne papon mein maroge kyonki yadi tum vishvas nahi karoge ki main wahi hu, to apne papon mein maroge.
John 8:24, Gospel
____________________
is par sab ne kaha, to kya tu parameshvar ka putra hai? us ne un se kaha tum ap hee kahte ho, kyonki main hoon.
Luke 22:70, Gospel
____________________
aur yeh kay : humaray perwerdigar ki bahut oonchi shaan hai , uss ney naa koi biwi rakhi hai , aur naa koi beta . 
Qur'an 72:3
____________________
maseeh ibn maryam to ek Rasool they , uss say ziyada kuch nahi , unn say pehlay ( bhi ) Bahut say Rasool guzar chukay hain , aur unn ki maa siddiqa thi. yeh dono khana khatay thay .   dekho ! hum unn kay samney kiss tarah khol khol ker nishaniyan wazeh ker rahey hain ! phir yeh bhi dekho kay unn ko ondhay mun kahan ley jaya jaraha hai !   
Qur'an 5:75
____________________
aur yahova parameshvar ne adam ko boomi ki mitti se banaya aur usake nathno men jeevan ka shvas foonk diya aur adam jeevit praanee ban gaya.
Genesis 2:7, Torah
____________________
Allah kay nazdeek isa ki misal Adam jaisi hai ; Allah ney unhen mitti say peda kiya , phir unn say kaha :  hojao bus woh hogaye haq wahi hai jo tumharay rab ki taraf say aaya hai , lehaza shak kernay walon mein shamil naa hojana . 
Qur'an 3:59-60
____________________
maain tum se sach sach kahata hoo, das apne shvami se bada nahi aur n bheja hua apne bhejne wale se. 
John 13:16, Gospel
____________________
tumhare vishay mein mujhe bahut kuchh kahna aur nirny karna hai parantu mera bhejnewala sachcha hai aur jo main ne us se suna hai, wahi jagat se kahta hu.
John 8:26, Gospel
____________________
woh uss say aagay barh ker koi baat nahi kertay , aur woh ussi kay hukum per amal kertay hain . 
Qur'an 21:27
____________________
yeshu ne unhen uttr diya, ki mera updesh mera nahi, parantu mere bhejnewale ka hai. yaadi koi us ki marzi par chalana chahey, to vah iss updesh ke vishay mein jan jayega ki vah parameshvar ki or se hai, ya main apni or se kahta hu.
John 7:16 - 17, Gospel
____________________
aur uske vachan ko man mein sthir nahi rakhtey kyonki jisse us ne bheja us kee yakeen nahi karte.
John 5:38, Gospel
____________________
Allah sach ko apney hukum say sach ker dikhata hai , chahye mujrim log kitna bura samjhe .
Qur'an 10:82  
____________________
aur yadhypi yahova tumhare pas apane saare dason athva prophets ko bhi yah kahne ke liye bade yatn se bhejata aya hai
Jeremiah 25:4, Torah
____________________
jis din tumhare purakh Egypt desh se nikale, us din se aj tak main to apne sare daso, prophets ko, tumhare pas bade yatn se lagatar bhejata raha 
parantu unhon ne meri nahi suni, naa apna kan lagaya unhon ne hatt kiya, aur apne purakhon se baddhkar buraiyan ki hain. 
tu sab batey un se kahega par ve teri na sunenge tu unko bulayega, par ve na bolenge.  

tab tu un se kah dena, yah vahi jaati hai jo apne parameshvar yahova ki nahi suntey, aur tadna se bhi nahi mante sachchai nash ho gai, aur unke muh se door ho gai hai.
Jeremiah 7:25 - 28, Torah
____________________
chhttven mahine mein parameshvar ki or se jibraail svargadoot galeel ke nasrat nagar mein ek kunwari ke pass bheja gaya.
Luke 1:26, Gospel
____________________
farishtay ney kaha :  mein tu tumharay rab ka bheja huwa ( farishta ) hun ( aur iss liye aaya hun ) takay tumhen ek pakeezah ladka du.   
Qur'an 19:19
____________________
aur dekh, too garbhvatee hogayi, aur tere ek ladka paida hoga tu uska nam yeshu rakhna.
Luke 1:31, Gospel
____________________
Maryam ne kaha, dek, main prabhu ki dasi hu, mujhe tere vachan ke anusar ho: tab svargadoot uske pas se chala gaya.
Luke 1:38, Gospel
____________________
phir huwa yeh kay maryam ko uss bacchay ka hamal thehar gaya , ( aur jab wiladat ka waqt qareeb aaya ) tu woh uss ko ley ker logon  say alag ek door maqam per chali gaeen . 
Qur'an 19:22
____________________
phir woh uss bacchay ko uthaye huye apni qoam kay paas ayen .   woh kehney lagay kay : maryam ! tum ney tu bara ghazab daha diya . aey Haroon ki behan !   naa tu tumhara baap koi bura aadmi tha , naa tumhari maa koi bad-kaar aurat thi !  uss per maryam ney uss bacchay ki taraf ishara kiya . logon ney kaha : bhala hum iss say kaisay baat keren jo abhi paalney mein parra huwa baccha hai-?  
Qur'an 19:27-29
____________________
to us ne use apni goud mein liya aur parameshvar ka dhanyavad karake kaha, he shvami, ab tu apne das ko apne vachan ke anusar shaanti se vida karta hai. kyonki meri ankhon ne tere uddhar ko dekh liya hai. jise too ne sab deshaen ke logon ke samhane taiyar kiya hai.  ki vah any jaatiyon ko prakash dene ke liye jyoti, aur tere nij log israel kee maahima ho.
Luke 2:28 - 32, Gospel
____________________
baccha bol utha kay :  mein Allah ka banda hun . uss ney mujhay kitab di hai , aur nabi banaya hai ,   
Qur'an 19 30
____________________
Aey yahova, sun, main to tera das (servant)  hu main tera das, aur teri dasi ka putra hu. tu ne mere bandhan khol diye hain.
Psalms 116:16, Torah
____________________
usee ne mujh se yah bhi kaha hai, yah to halki si bat hai ki tu yakoob ke gotraen ka uddhar karne aur israel ke rakshiat logon ko lautta le ane ke liye mera sevak (servant) theray main tujhe anyajatiyon ke liye jyoti ttheraunga ki mera uddhar duniya ki ek or se dusari or tak faail jaye..
*Isaiah 49:6, Torah
____________________
woh ( yani essa aleh-assalam ) tu bus humaray ek banday (servant) thay jinn per hum ney inaam kiya tha , aur bani Israel kay liye unn ko ek namoona banaya tha .
Qur'an 43:59
____________________
ki jo vachan yashaayah Prophet ke dawra kaha gaya tha, vah poora ho. ki dekho, yah mera sevak hai, jise main ne chunna hai mera piry, jis se mera man prasan hai: main apna atma us par daloonga aur vah anyajaatiyon ko nyay ka samachar dega.
Matthew 12:17 - 18, Gospel
____________________
Mere das (servant) ko dekho jise main sambhale hu, mere chunne huae ko, jis se mera jee prasann haai maain ne us par apna atma rakha haai, vah anyajatiyon ke liye nyay pragatt karega. 
Isaiah 42:1, Torah
____________________
aur dushttatma chillati aur yah kahti hui ki tu parameshvar ka putra hai, bahuton mein se nikal gai par vah unhen dant ta aur bolne nahi deta tha, kyonki ve jante the, ki yah maseeh hai
Luke 4:41, Gospel
____________________
vah jesus ko dekhkar chillaya, aur uske samne girakar unche shabd se kaha he param pradhaan parameshvar ke putra jesus, mujhe tujh se kya kam! main teri binati karta hu, mujhe peeda naa de!
Luke 8:28, Gospel
____________________
aur ( jiss tarah yeh log humaray nabi say dushmani ker rahey hain ) ussi tarah hum ney har ( pichlay ) nabi kay liye koi naa koi dushman peda kiya tha , yani insanon aur jinnaat mein say setan qisam kay log , jo dhoka denay ki khatir ek dusray ko bari chikni chupri baaten sikhatay rehtay thay . aur agar Allah chahta tu woh aisa naa ker-saktay .   lehaza unn ko apni iftra perdaziyon mein parra rehney do . 
Qur'an 6:112
____________________
aur setan ne us se kaha yaadi tu parameshvar ka putra hai, to is pathar se kah, ki roti ban jaye
Luke 4:3, Gospel
____________________
tab us ne use Jerusalem mein le jakar mandir ke kangoore par khada kiya, aur us se kaha yadi tu parameshvar ka putra hai, to apne ap ko yahan se niche gira de.
Luke 4:9, Gospel
____________________
aur ( aey payghumber ! ) tum say pehlay hum ney jab bhi koi Rasool ya nabi bheja tu uss kay sath yeh waqiaa zaroor huwa kay jab uss ney ( Allah ka kalam ) parha tu shetan ney uss kay parhney kay sath hi ( kuffaar kay dilon mein ) koi rukawat daal di , phir jo rukawat shetan daalta hai , Allah ussay door ker deta hai , phir apni aayaton ko ziyada mazboot ker deta hai ,   aur Allah baray ilm ka , bari hikmat ka malik hai . yeh ( shetan ney rukawat iss liye daali ) takay jo rukawat shetan ney daali thi , Allah unn logon  kay liye fitna bana dey jinn kay dilon mein rog hai , aur jinn kay dil sakht hain . aur yaqeen jano kay yeh zalim log mukhalifat mein boht door chalay gaye hain . aur ( uss rukawat ko Allah taalaa ney iss liye door kiya ) takay jinn logon  ko ilm ata huwa hai , woh jaan len kay yehi ( kalam ) bar-haq hai jo tumharay perwerdigar ki taraf say aaya hai , phir woh iss per emaan layen , aur unn kay dil iss kay aagay jhuk jayen . aur yaqeen rakho kay Allah emaan walon ko seedhay raastay ki hidayat denay wala hai . 
Qur'an 22:52-54
____________________
Yaqeen jano woh (setan) tumhara khula dushman hai . 
Qur'an 43:52
____________________
Jesus said: mein Allah ka banda hun . uss ney mujhay kitab di hai , aur nabi banaya hai ,  
Qur'an 19:30 
____________________
parantu main jo sach bolta hu, isliye tum mera yakeen nahi karte.
John 8:45, Gospel
____________________
Main tum se sach kehta hu mera jana tumare liye acchha hain kyunki agar main nahi jaunga to wah sahayak tumhare pass nahi aayega main jaoga to usse tumare pass bejh dunga .
John 16.7 
____________________
Mujhe abhi tumse bahut kuch kehna hain lekeen abhi tum samjh nahi sakte .
John 16.12
____________________
Jab wah aayega to tumko saccha rashta batayega wo apni aur se kuchh naa kahega jaisa sunega waisa kahega.
John 16.13
Yeh paviter aatma ke liye nahi hain kyun ki paviter aatma pehle se mojood thi .
Luke 1.15
Main likha hua hain ki paviter aatma yashu masih ke janam se pehle mojood thi