Mother of the Believers
ʿĀʾishah bint Abī Bakr (rz)
![]() |
| Maa Aisha (rz) |
17 रमज़ान, उन उम्मुल मोमिनीन हज़रत आयशा सिद्दीका रज़ि० का यौम ए वफ़ात है,. जिन आयशा रज़ि० के बारे में प्यारे नबी ﷺ ने फ़रमाया कि "आयशा रज़ि० औरतों में इसी तरह अफ़ज़ल हैं, जिस तरह सरीद तमाम खानों में बेहतरीन होता है" माँ आयशा रज़ि० वाक़ई औरतों में अफ़ज़ल थीं, क्योंकि उन्होंने अल्लाह के दीन की तबलीग़ और तालीम में ला-मिसाल ख़िदमात अन्जाम दीं,
नबी ﷺ के दौरे हयात में मुसलमान औरतें, और आप ﷺ की वफ़ात के बाद मुसलमान औरतें और मर्द सब माँ आयशा रज़ि० से दीन के मसाइल जानने आया करते थे. हज़रत अबू हुरैरह रज़ि० के बाद सबसे ज्यादा अहादीस हज़रत आयशा रज़ि० से ही रिवायत की गई हैं.
बेहद ज़हीन, बहुत पुरऐतमाद, बेहद क़ीमती शख़्सियत, हम सबकी माँ हज़रत आयशा सिद्दीका रज़ि० पर सलाम.
Ayesha Raziallahu Anha Momino ki Maa hai
Allah Rabbul Alameen ne irshad Farmaya :
Paighambar ﷺ Momino par khud un se bhi ziyaada haq rakhne waale hai aur paighambar ki biwiyaan momino ki maaein hain
Surah Ahzab 33:6
Umar bin Khattab raziallahu anhu ne Ayesha raziallahu anha ko UMMUL MOMINEEN Kaha hai :
" Umar bin Khattab raziallahu anhune Apne Bete Abdullah Bin Umar raziallahu anhu se kaha , UmmuL Momineen Ayesha ke paas jao ".
Saheeh Bukhari 1392
Jo Ayesha raziallahu Anha ko Maa nahi maanta Vo Momin nahi.
Ayesha Raziallahu Anha ki Azmath :
Ayesha Raziallahu Anha Siddiq-E-Akbar ki Lafth-E-Jigar hain ( Beti Hain ).
Abu Bakr raziallahu Anhu Ambiya ke Baad Duniya ke Sabse Afzal Shaksiyath hai aur Ummath ke Pahle Khalifa hain, inki Beti hain
Amma Ayesha Siddiqa raziallahu anha .
Amma Ayesha raziallahu anha Ambiya ke Sardaar, imaamul Ambiya , Rab Ke Habeeb , Kainaath ke Sabse Afzalul Bashar Muhammadur Rasoolullahﷺ ki Chaheethi biwi hain .
Muhammad ﷺ ke Baare mein Quran Gawahi Deta hai
Aur beshak Aap ﷺ bahut bade (umdah) aqlaaq par hai
Surah Qalam 68:4
Aise umdaah Aqlaaq aur Baa Haya Daar, Afzalul Bashar ki Biwi hain Ayesha Raziallahu Anha.
Aap ﷺ ki Tarbiyath Aapko Naseeb hui.
Amma Ayesha raziallahu anha ki Bara'ath mein Quran ki Aayatein Nazil Hui
Surah Noor : 24
Ayesha raziallahu anha ki Fazeelath doosri Auraton ke Banisbath :
Anas bin Malik raziallahu anhu se riwayat hai ke :
Allah ke Rasool ﷺ ne farmaya Ayesha raziallahu anha ki Fazeelath Deegar Auraton par Waise hi hai jaise Tharid ki Deegar Khanon par ".
Sahih al-Bukhari 3770
Tharid Ek aisi dish hai jo uss Zamane mein Sabse best Dish
hua karti thee, jo ke Gosht aur Bread (Roti) se Banti hai. Tharid jaisi koi Aur dish uss Zamane mein itni Afzal aur best nahi thee.
Muhammadur Rasoolullah ﷺ ki Aakhri ghadiyan Amma Ayesha raziallahu anha ke Gaod mein Guzrin.
¤ Sayyidah Ayesha Razi Allahu Anha farmaati hain ke:
"Pas Allah ﷻ ne Aap ﷺ ke duniya ke aakhri din aur aakhirath ke pehle din mere aur aap ke luaab e dahan (Thook) ko (miswaak ke zari'ye) jama' (ekkhatta) kar diya."
Sahih Bukhari: 4451
Ayesha raziallahu anha se riwayat hai :
" Jab main Haiza hoti aur Kuch Peene ke Baad vo Mashkeeza Rasoolullah ﷺ ko Deti tho Aapﷺ Ussi Jagah Munh Lagakar peete Jahan maine Apna Munh Lagaya tha , Aur My Gosht ke Tukde ke jiss Hisse ko Apna Munh Lagakar Khati aur Rasoolullah ﷺ ko Vo gosht ka Tukda deti tho Aap ﷺ bhi ussi hisse se Khate ".
Sahih Muslim 300
Amr bin AL-Aas raziallahu anhu se riwayat hai ke unhone Rasool Kareem ﷺ Se Poocha :
" Aye Allah ke Rasool ﷺ Aapko Sabse Ziyadah Muhabbath kis se hai ? Aap ﷺ ne Farmaya : Ayesha raziallahu Anha se , Maine Poocha , Aur Mardon mein ? Aap ﷺ ne Farmaya : Ayesha ke Abbu ( Abu bakr Siddiq raziallahu Anhu ) Se , Maine Poocha inke Baad ? Aap ﷺ ne Farmaya : Umar bin Khattab Raziallahu anhu se , issi Tarah Aap ﷺ ne Kaee Admiyon ke
Naam Liye ".
Saheeh Bukhari 3662
Muhammadur Rasoolullah ﷺ ki Qabr Mubarak bhi , Amma Ayesha Raziallahu anha ke hujre mein hai.
Muhammadur Rasoolullah ﷺ Ayesha raziallahu Anha ke Saath khel Kood kiya karte , Sair O Tafreek kiya karte , Racing ( Daud Lagaya ) karte
Sunan Abu Dawood
Ayesha raziallahu Anha ki Allah , Uske Rasool ﷺ aur Jannath se Muhabbath.
Ayesha Raziallahu Anha bayan karti hain :
" Jab Rasoolullah ﷺ ko Hukm hua ke Apni Azwaj ko ikhtiyaar Dein tho Aap ﷺ Mere paas tashreef Laye aur farmaya ke main tumse Ek Muamla ke Muta'allik kehne aaya hoon , Zaroori nahi ke tum Jaldi karo , Apne Walidain se bhi Mashwarah Le Sakti ho - inhone Bayan kiya ke Nabi ﷺ ko tho Maloom hi thaa ke Mere Walidain Apse judai ka kabhi Mashwarah nahi de sakte - Ayesha raziallahu anha ne bayan kiya ke phir Nabi Kareem ﷺ ne ( Voh Aayat jiss main ye Hukm tha ) padhi ke Allah Paak ka irshad hai " Aye Nabi ! Apni Biwion se farma deejiye ke Agar tum Duniyawi zindagaani aur zeenath chaahti ho, to aao main tumhe kuch de dila doon, aur tumhe acchayi ke saath ruqsath kar doon"
" aur agar tumhaari muraadh Allah aur us ka Rasool (ﷺ) aur aaqirath ka ghar hai to (yaqeen maano ke) tum mein se neik kaam karne waaliyo ke liye Allah ta'ala ne bahut zabrdast ajr rakh chohde hai ".
Surah Ahzab 33:28-29
Tho Ayesha raziallahu anha ne bayan kiya ke , main ne Arz kiya : Lekin apne walidain se Mashwarah karne ki kya Zaroorath hai , Zahir hai ke main Allah aur uske Rasool aur Aakhirath ko Chahti hoon -
Bayan kiya ke phir Doosri Azwaj Mutahharah ne bhi wahi kaha jo main keh chuki thee ".
Sahih Bukhari Hadees 4786
Ayesha raziallahu anha ki Sakhawath
" Ek Aurath apni Do (2) Bachion ke saath Ayesha raziallahu anha ke paas aayi, Ayesha raziallahu anha ne usko Teen (3) Khajoorein di .uss Aurat ne Do Khajoorein Ek Ek Apni Bachion mein Taqseem kardi , Phir Aakhri Khajoor ko uss Aurat ne Beech mein se Adhi cheer kar Apni Dono Bachion mein Taqseem Kardi.
Ayesha raziallahu anha farmati hain : ' Phir Aap ﷺ tashreef laye tho maine unko iss bare mein bataya ' , Aap ﷺ ne farmaya : Tum iss par Tajjub kyun hoti ho , Voh (Aurat ) iss Amal ke Badle mein Jannat mein dakhil hogi ".
Saheeh ( Zubair ali Zai rahimahullah )
Sunan Ibn Majah 3668
Ayesha raziallahu anha ki HAYA :
Muadha AL Adawiyyah Farmati hain ke Ayesha Raziallahu anha ne inse Farmaya :
" Apne Shauharon se Kaho ke Paani se hi Taharath Hasil Karein , Kyunke My ( Mardon se iss Bare mein Baath karun ) Sharmati hoon ".
( iss Hadees ko Shaikh Albani rahimahullah ne Saheeh Kaha hai )
Sunan Tirmizi : jild : 1 - Safa : 30 - Hadees : 19
Ayesha raziallahu anha se marwi hai :
Allah ke Rasool(ﷺ) ne farmaya ,
" Log Nange pair , Nange jism aur Bagair Khatna kiye huye Qayamath ke Din jamaa kiye jayenge. Maine Poocha , Aye Allah ke Rasool ﷺ ! Kya Mard aur Auratein Ek Doosre ko Nahi Dekhlenge ! Aap ﷺ ne farmaya : Uss Waqt Kaifiyath boht khatarnaak hogi ke Log Kisi cheez ka Khayal nahi karenge ".
Sahih al-Bukhari 6527
Ayesha raziallahu anha ki haya ki inteha
" Ayesha raziallahu anha farmati hain ke , Main Apne Hujre mein dakhil hoti jahan Allah ke Rasool ﷺ aur Mere Walid (Abu Bakr raziallahu anhu ) dono Dafan hain , Main apne Kapde Wahan par Badal leti aur main ye Samjhleti thi ke ye Mere Shauhar aur Mere Walid hi tho hain
aur jab Umar bin Khattab raziallahu anhu Apne Sathion ke saath uss hujre mein Dafan huye , Allah ki Kasam ! main kabhi apne kamre mein dakhil nahi huyi siwaye mujh par kapde hote ( uske baad kabhi wahan apne kapde nahi badle ) Kyunke Umar raziallahu anhu se Haya ki wajah se ".
Musnad imam Ahmed 25661
insaano se Sharm O Haya ke Saath Saath, Madfoon aur Wafath Shuda se tak Sharm O Haya Rakhti theen , Mehram - Gair Mehram Ka Lihaaz Rakhti theen .
Subhan Allah ! Kurban Jaayein.
Ayesha Raziallahu anha , Muhammadur Rasoolullah ﷺ ki wafat ke Baad Takreeban 40-45 Saal Zinda rahin .
Aap Raziallahu anha Faqeeha , Aalima , Muallima , Ustadha , Kaseer Ahadees ki Raawiya aur Aurton ke Masail ko Sabse Ziyadah Riwayat karne wali Sahibiya Theen .
Aap ki Memory Boht Umdaah theen Deen se Beintehaa Lagaav thaa , Hadees (Nabi ﷺ ka farmaan) Sunne ke baad Fauran Apne Muamlaath se Ruju kar liya karti theen.
▪ Aap raziallahu anha ke Fazail mein Ulama ne Boht Ziyadah Kitaabein bhi Likhi hain , Ahle Sunnath ne Amma Ayesha Raziallahu anha ke Difaa mein Boht si Tehreeri wa Takhreeri kaam kiya hai.
Allah Ta'ala Hamari iss Choti si Khidmath ko Qabool Farmaye .
Allah Rabbul Alameen Hamare Dilon mein Aapke Liye Ehteraam aur Muhabbath ko Bhar de .
Allah Ayesha raziallahu anha ko Jannat mein Aala se Aala Muqaam ataa farmaye .
By- irfan Shaik
